Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2299c6b078b847e2ead8a5364216a251, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jaane Kahan Gaya Hai Wo Wo Jo Abhi Yahan Tha - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Jaane Kahan Gaya Hai Wo Wo Jo Abhi Yahan Tha

jaane kahan gaya hai wo wo jo abhi yahan tha

wo jo abhi yahan tha wo kaun tha kahan tha

ta-lamha-e-guzishta ye jism aur sae

zinda the raegan mein jo kuchh tha raegan tha

ab jis ki did ka hai sauda hamare sar mein

wo apni hi nazar mein apna hi ek saman tha

kya kya na KHun thuka main us gali mein yaro

sach jaanna wahan to jo fan tha raegan tha

ye war kar gaya hai pahlu se kaun mujh par

tha main hi daen baen aur main hi darmiyan tha

us shahr ki hifazat karni thi hum ko jis mein

aandhi ki thin fasilen aur gard ka makan tha

thi ek ajab faza si imkan-e-KHal-o-KHad ki

tha ek ajab musawwir aur wo mera guman tha

umren guzar gai thin hum ko yaqin se bichhDe

aur lamha ek guman ka sadiyon mein be-aman tha

jab Dubta chala main tarikiyon ki tah mein

tah mein tha ek daricha aur us mein aasman tha

(2731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Kahan Gaya Hai Wo Wo Jo Abhi Yahan Tha In English By Famous Poet Jaun Eliya. Jaane Kahan Gaya Hai Wo Wo Jo Abhi Yahan Tha is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Jaane Kahan Gaya Hai Wo Wo Jo Abhi Yahan Tha for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Jaane Kahan Gaya Hai Wo Wo Jo Abhi Yahan Tha in PDF.