Iza-dahi Ki Dad Jo Pata Raha Hun Main
iza-dahi ki dad jo pata raha hun main
har naz-afrin ko satata raha hun main
ai KHush-KHiram panw ke chhaale to gin zara
tujh ko kahan kahan na phiraata raha hun main
ek husn-e-be-misal ki tamsil ke liye
parchhaiyon pe rang giraata raha hun main
kya mil gaya zamir-e-hunar bech kar mujhe
itna ki sirf kaam chalata raha hun main
ruhon ke parda-posh gunahon se be-KHabar
jismon ki nekiyan hi ginata raha hun main
tujh ko KHabar nahin ki tera karb dekh kar
akasr tera mazaq uData raha hun main
shayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui
lekin yaqin sab ko dilata raha hun main
ek satr bhi kabhi na likhi main ne tere nam
pagal tujhi ko yaad bhi aata raha hun main
jis din se e'timad mein aaya tera shabab
us din se tujh pe zulm hi Dhata raha hun main
apna misaliya mujhe ab tak na mil saka
zarron ko aaftab banata raha hun main
bedar kar ke tere badan ki KHud-agahi
tere badan ki umr ghaTata raha hun main
kal dopahar ajib si ek be-dili rahi
bas tiliyan jala ke bujhata raha hun main
(3807) Peoples Rate This