Hum Kahan Aur Tum Kahan Jaanan
hum kahan aur tum kahan jaanan
hain kai hijr darmiyan jaanan
raegan wasl mein bhi waqt hua
par hua KHub raegan jaanan
mere andar hi to kahin gham hai
kis se puchhun tera nishan jaanan
aalam-e-be-karan-e-rang hai tu
tujh mein Thahrun kahan kahan jaanan
main hawaon se kaise pesh aaun
yahi mausam hai kya wahan jaanan
raushni bhar gai nigahon mein
ho gae KHwab be-aman jaanan
dard-mandan-e-ku-e-dildari
gae ghaarat jahan tahan jaanan
ab bhi jhilon mein aks paDte hain
ab bhi nila hai aasman jaanan
hai jo purkhon tumhaara aks-e-KHayal
zaKHm aae kahan kahan jaanan
(2865) Peoples Rate This