Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8adabe78e15a6f853bb552d4584499d0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Aandhiyon Ke Ban Mein Kisi Karwan Ke The - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Hum Aandhiyon Ke Ban Mein Kisi Karwan Ke The

hum aandhiyon ke ban mein kisi karwan ke the

jaane kahan se aae hain jaane kahan ke the

ai jaan-e-dastan tujhe aaya kabhi KHayal

wo log kya hue jo teri dastan ke the

hum tere aastan pe ye kahne ko aae hain

wo KHak ho gae jo tere aastan ke the

mil kar tapak se na hamein kijiye udas

KHatir na kijiye kabhi hum bhi yahan ke the

kya puchhte ho nam-o-nishan-e-musafiran

hindostan mein aae hain hindostan ke the

ab KHak uD rahi hai yahan intizar ki

ai dil ye baam-o-dar kisi jaan-e-jahan ke the

hum kis ko den bhala dar-o-diwar ka hisab

ye hum jo hain zamin ke na the aasman ke the

hum se chhina hai naf-piyala tera miyan

goya azal se hum saf-e-lab-tishnagan ke the

hum ko haqiqaton ne kiya hai KHarab-o-KHwar

hum KHwab-e-KHwab aur guman-e-guman ke the

sad-yaad-e-yaad 'jaun' wo hangam-e-dil ki jab

hum ek gam ke na the par haft-KHwan ke the

wo rishta-ha-e-zat jo barbaad ho gae

mere guman ke the ki tumhaare guman ke the

(3308) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Aandhiyon Ke Ban Mein Kisi Karwan Ke The In English By Famous Poet Jaun Eliya. Hum Aandhiyon Ke Ban Mein Kisi Karwan Ke The is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Hum Aandhiyon Ke Ban Mein Kisi Karwan Ke The for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Hum Aandhiyon Ke Ban Mein Kisi Karwan Ke The in PDF.