Hu Ka Aalam Hai Yahan Nala-garon Ke Hote
hu ka aalam hai yahan nala-garon ke hote
shahr KHamosh hai shorida-saron ke hote
kyun shikasta hai tera rang mata-e-sad-rang
aur phir apne hi KHunin-jigron ke hote
kar-e-faryaad-o-fughan kis liye mauquf hua
tere kuche mein tere ba-hunron ke hote
kiya diwanon ne tere coach hai basti se kya
warna sunsan hon rahen nigharon ke hote
juz saza aur ho shayad koi maqsud un ka
ja ke zindan mein jo rahte hain gharon ke hote
shahr ka kaam hua fart-e-hifazat se tamam
aur chhalni hue sine siparon ke hote
apne sauda-zadagan se ye kaha hai us ne
chal ke ab aaiyo pairon pe saron ke hote
ab jo rishton mein bandha hun to khula hai mujh par
kab parind uD nahin pate hain paron ke hote
(3476) Peoples Rate This