Hijr Ki Aankhon Se Aankhen To Milate Jaiye
hijr ki aankhon se aankhen to milate jaiye
hijr mein karna hai kya ye to batate jaiye
ban ke KHushbu ki udasi rahiye dil ke bagh mein
dur hote jaiye nazdik aate jaiye
jate jate aap itna kaam to kije mera
yaad ka sara sar-o-saman jalate jaiye
rah gai ummid to barbaad ho jaunga main
jaiye to phir mujhe sach-much bhulate jaiye
zindagi ki anjuman ka bas yahi dastur hai
baDh ke miliye aur mil kar dur jate jaiye
aaKHirash rishta to hum mein ek KHushi ek gham ka tha
muskuraate jaiye aansu bahate jaiye
wo gali hai ek sharabi chashm-e-kafir ki gali
us gali mein jaiye to laDkhaDate jaiye
aap ko jab mujh se shikwa hi nahin koi to phir
aag hi dil mein lagani hai lagate jaiye
kuch hai KHwabon se tabiron ki samton mein to phir
jaiye par dam-ba-dam barbaad jate jaiye
aap ka mehman hun main aap mere mezban
so mujhe zahr-e-murawwat to pilate jaiye
hai sar-e-shab aur mere ghar mein nahin koi charagh
aag to is ghar mein jaanana lagate jaiye
(4677) Peoples Rate This