Hawas Mein To Na The Phir Bhi Kya Na Kar Aae
hawas mein to na the phir bhi kya na kar aae
ki dar par gae hum aur phir utar aae
ajib haal ke majnun the jo ba-ishwa-o-naz
ba-su-e-baad ye mahmil mein baiTh kar aae
kabhi gae the miyan jo KHabar ke sahra ki
wo aae bhi to bagulon ke sath ghar aae
koi junun nahin saudaiyan-e-sahra ko
ki jo azab bhi aae wo shahr par aae
batao dam guru chahiye tumhein ab kya
parindagan-e-hawa KHak par utar aae
ajab KHulus se ruKHsat kiya gaya hum ko
KHayal-e-KHam ka tawan tha so bhar aae
(2060) Peoples Rate This