Hai Bikharne Ko Ye Mahfil-e-rang-o-bu Tum Kahan Jaoge Hum Kahan Jaenge
hai bikharne ko ye mahfil-e-rang-o-bu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
har taraf ho rahi hai yahi guftugu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
har mata-e-nafas nazr-e-ahang ki hum ko yaran hawas thi bahut rang ki
gul-zamin se ubalne ko hai ab lahu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
awwal-e-shab ka mahtab bhi ja chuka sehn-e-mai-KHana se ab ufuq mein kahin
aaKHir-e-shab hai KHali hain jam-o-subu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
koi hasil na tha aarzu ka magar saneha ye hai ab aarzu bhi nahin
waqt ki is masafat mein be-arzu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
kis qadar dur se lauT kar aae hain yun kaho umr barbaad kar aae hain
tha sarab apna sarmaya-e-justuju tum kahan jaoge hum kahan jaenge
ek junun tha ki aabaad ho shahr-e-jaan aur aabaad jab shahr-e-jaan ho gaya
hain ye sargoshiyan dar-ba-dar ku-ba-ku tum kahan jaoge hum kahan jaenge
dasht mein raqs-e-shauq-e-bahaar ab kahan baad-paimai-e-diwana-war ab kahan
bas guzarne ko hai mausam-e-haw-hu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
hum hain ruswa-kun-e-dilli-o-lucknow apni kya zindagi apni kya aabru
'mir' dilli se nikalne gae lucknow tum kahan jaoge hum kahan jaenge
(10607) Peoples Rate This