Hai Ajab Haal Ye Zamane Ka
hai ajab haal ye zamane ka
yaad bhi taur hai bhulane ka
pasand aaya bahut hamein pesha
KHud hi apne gharon ko Dhane ka
kash hum ko bhi ho nasib kabhi
aish-e-daftar mein gungunane ka
aasman hai KHamoshi-e-jawed
main bhi ab lab nahin hilane ka
jaan kya ab tera piyala-e-naf
nashsha mujh ko nahin pilane ka
shauq hai is dil-e-darinda ko
aap ke honT kaT khane ka
itna nadim hua hun KHud se ki main
ab nahin KHud ko aazmane ka
kya kahun jaan ko bachane main
'jaun' KHatra hai jaan jaane ka
ye jahan 'jaun' ek jahannum hai
yan KHuda bhi nahin hai aane ka
zindagi ek fan hai lamhon ko
apne andaz se ganwane ka
(3304) Peoples Rate This