Haalat-e-haal Ke Sabab Haalat-e-haal Hi Gai
haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gai
shauq mein kuchh nahin gaya shauq ki zindagi gai
tera firaq jaan-e-jaan aish tha kya mere liye
yani tere firaq mein KHub sharab pi gai
tere visal ke liye apne kamal ke liye
haalat-e-dil ki thi KHarab aur KHarab ki gai
us ki umid-e-naz ka hum se ye man tha ki aap
umr guzar dijiye umr guzar di gai
ek hi hadsa to hai aur wo ye ki aaj tak
baat nahin kahi gai baat nahin suni gai
baad bhi tere jaan-e-jaan dil mein raha ajab saman
yaad rahi teri yahan phir teri yaad bhi gai
us ke badan ko di numud hum ne suKHan mein aur phir
us ke badan ke waste ek qaba bhi si gai
mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam jam-ba-jam
naf-piyale ki tere yaad ajab sahi gai
kahni hai mujh ko ek baat aap se yani aap se
aap ke shahr-e-wasl mein lazzat-e-hijr bhi gai
sehn-e-KHayal-e-yar mein ki na basar shab-e-firaq
jab se wo chandna gaya jab se wo chandni gai
(5192) Peoples Rate This