Ganwai Kis Ki Tamanna Mein Zindagi Maine
ganwai kis ki tamanna mein zindagi main ne
wo kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne
tera KHayal to hai par tera wajud nahin
tere liye to ye mahfil sajai thi main ne
tere adam ko gawara na tha wajud mera
so apni beKH-kuni ki kami na ki main ne
hain meri zat se mansub sad fasana-e-ishq
aur ek satr bhi ab tak nahin likhi main ne
KHud apne ishwa-o-andaz ka shahid hun main
KHud apni zat se barti hai be-ruKHi main ne
mere harif meri yakka-taziyon pe nisar
tamam umr halifon se jang ki main ne
KHarash-e-naghma se sina chhila hua hai mera
fughan ki tark na ki naghma-parwari main ne
dawa se faeda maqsud tha hi kab ki faqat
dawa ke shauq mein sehat tabah ki main ne
zabana-zan tha jigar-soz tishnagi ka azab
so jauf-e-sina mein dozaKH unDel li main ne
surur-e-mai pe bhi ghaalib raha shuur mera
ki har riayat-e-gham zehn mein rakhi main ne
gham-e-shuur koi dam to mujh ko mohlat de
tamam-umr jalaya hai apna ji main ne
ilaj ye hai ki majbur kar diya jaun
wagarna yun to kisi ki nahin suni main ne
raha main shahid-e-tanha nashin-e-masnad-e-gham
aur apne karb-e-ana se gharaz rakhi main ne
(2244) Peoples Rate This