Ek Guman Ka Haal Hai Aur Faqat Guman Mein Hai
ek guman ka haal hai aur faqat guman mein hai
kis ne azab-e-jaan saha kaun azab-e-jaan mein hai
lamha-ba-lamha dam-ba-dam aan-ba-an ram-ba-ram
main bhi guzishtagan mein hun tu bhi guzishtagan mein hai
aadam-o-zat-o-kibriya karb mein hain juda juda
kya kahun un ka majra jo bhi hai imtihan mein hai
shaKH se uD gaya parind hai dil-e-sham-e-dard-mand
sahn mein hai malal sa huzn sa aasman mein hai
KHud mein bhi be-aman hun main tujh mein bhi be-aman hun main
kaun sahega us ka gham wo jo meri aman mein hai
kaisa hisab kya hisab haalat-e-haal hai azab
zaKHm nafas nafas mein hai zahr zaman zaman mein hai
us ka firaq bhi ziyan us ka visal bhi ziyan
ek ajib kashmakash halqa-e-be-dilan mein hai
bud-o-nabud ka hisab main nahin jaanta magar
sare wajud ki nahin mere adam ki han mein hai
(2344) Peoples Rate This