Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cc2ce608f613a4285bb47259f4d45e68, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ne Kiya Hai Qasd-e-safar Ghar SameT Lo - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Dil Ne Kiya Hai Qasd-e-safar Ghar SameT Lo

dil ne kiya hai qasd-e-safar ghar sameT lo

jaana hai is dayar se manzar sameT lo

aazadgi mein shart bhi hai ehtiyat ki

parwaz ka hai izn magar par sameT lo

hamla hai chaar su dar-o-diwar-e-shahr ka

sab jangalon ko shahr ke andar sameT lo

bikhra hua hun sarsar-e-sham-e-firaq se

ab aa bhi jao aur mujhe aa kar sameT lo

rakhta nahin hai koi na-gufta ka yan hisab

jo kuchh hai dil mein us ko labon par sameT lo

(2307) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ne Kiya Hai Qasd-e-safar Ghar SameT Lo In English By Famous Poet Jaun Eliya. Dil Ne Kiya Hai Qasd-e-safar Ghar SameT Lo is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Dil Ne Kiya Hai Qasd-e-safar Ghar SameT Lo for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Dil Ne Kiya Hai Qasd-e-safar Ghar SameT Lo in PDF.