Dil Ka Dayar-e-KHwab Mein Dur Talak Guzar Raha
dil ka dayar-e-KHwab mein dur talak guzar raha
panw nahin the darmiyan aaj baDa safar raha
ho na saka hamein kabhi apna KHayal tak nasib
naqsh kisi KHayal ka lauh-e-KHayal par raha
naqsh-garon se chahiye naqsh o nigar ka hisab
rang ki baat mat karo rang bahut bikhar raha
jaane guman ki wo gali aisi jagah hai kaun si
dekh rahe ho tum ki main phir wahin ja ke mar raha
dil mere dil mujhe bhi tum apne KHwas mein rakho
yaran tumhaare bab mein main hi na mo'tabar raha
shahr-e-firaq-e-yar se aai hai ek KHabar mujhe
kucha-e-yaad-e-yar se koi nahin ubhar raha
(1846) Peoples Rate This