Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_57151aebb288ac38ab348d82bf055547, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Jo Ek Jae Thi Duniya Hui Aabaad UsMein - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Dil Jo Ek Jae Thi Duniya Hui Aabaad UsMein

dil jo ek jae thi duniya hui aabaad us mein

pahle sunte hain ki rahti thi koi yaad us mein

wo jo tha apna guman aaj bahut yaad aaya

thi ajab rahat-e-azadi-e-ijad us mein

ek hi to wo muhim thi jise sar karna tha

mujhe hasil na kisi ki hui imdad us mein

ek KHushbu mein rahi mujh ko talash-e-KHad-o-KHal

rang-faslen meri yaro huin barbaad us mein

bagh-e-jaan se tu kabhi raat gae guzra hai

kahte hain raat mein khelen hain pari-zad us mein

dil-mohalle mein ajab ek qafas tha yaro

said ko chhoD ke rahne laga sayyaad us mein

(2092) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Jo Ek Jae Thi Duniya Hui Aabaad UsMein In English By Famous Poet Jaun Eliya. Dil Jo Ek Jae Thi Duniya Hui Aabaad UsMein is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Dil Jo Ek Jae Thi Duniya Hui Aabaad UsMein for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Dil Jo Ek Jae Thi Duniya Hui Aabaad UsMein in PDF.