Dhup UThata Hun Ki Ab Sar Pe Koi Bar Nahin
dhup uThata hun ki ab sar pe koi bar nahin
beach diwar hai aur saya-e-diwar nahin
shahr ki gasht mein hain subh se sare mansur
ab to mansur wahi hai jo sar-e-dar nahin
mat suno mujh se jo aazar uThane honge
ab ke aazar ye phaila hai ki aazar nahin
sochta hun ki bhala umr ka hasil kya tha
umr-bhar sans liye aur koi ambar nahin
jin dukanon ne lagae the nigah mein bazar
un dukanon ka ye rona hai ki bazar nahin
ab wo haalat hai ki thak kar main KHuda ho jaun
koi dildar nahin koi dil-azar nahin
mujh se tum kaam na lo kaam mein lao mujh ko
koi to shahr mein aisa hai ki be-kar nahin
yaad-e-ashob ka aalam to wo aalam hai ki ab
yaad maston ko teri yaad bhi darkar nahin
waqt ko sud pe de aur na rakh koi hisab
ab bhala kaisa ziyan koi KHaridar nahin
(1800) Peoples Rate This