Daulat-e-dahr Sab LuTai Hai
daulat-e-dahr sab luTai hai
main ne dil ki kamai khai hai
ek lamhe ko tir karne mein
main ne ek zindagi ganwai hai
wo jo sarmaya-e-dil-o-jaan thi
ab wahi aarzu parai hai
tu hai aaKHir kahan ki aaj mujhe
be-tarah apni yaad aai hai
jaan-e-jaan tujh se du-badu ho kar
main ne KHud se shikast khai hai
ishq mere guman mein yaran
dil ki ek zor aazmai hai
us mein rah kar bhi main nahin us mein
jaaniye dil mein kya samai hai
mauj-e-baad-e-saba pe ho ke sawar
wo shamim-e-KHayal aai hai
sharm kar tu ki dasht-e-haalat mein
teri laila ne KHak uDai hai
bik nahin pa raha tha so main ne
apni qimat bahut baDhai hai
wo jo tha 'jaun' wo kahin bhi na tha
husn ek KHwab ki judai hai
(2221) Peoples Rate This