Chalo Baad-e-bahaari Ja Rahi Hai
chalo baad-e-bahaari ja rahi hai
piya-ji ki sawari ja rahi hai
shumal-e-jawedan-e-sabz-e-jaan se
tamanna ki amari ja rahi hai
fughan ai dushman-e-dar-e-dil-o-jaan
meri haalat sudhaari ja rahi hai
jo in rozon mera gham hai wo ye hai
ki gham se burdbari ja rahi hai
hai sine mein ajab ek hashr barpa
ki dil se be-qarari ja rahi hai
main paiham haar kar ye sochta hun
wo kya shai hai jo haari ja rahi hai
dil us ke ru-ba-ru hai aur gum-sum
koi arzi guzari ja rahi hai
wo sayyad bachcha ho aur shaiKH ke sath
miyan izzat hamari ja rahi hai
hai barpa har gali mein shor-e-naghma
meri fariyaad mari ja rahi hai
wo yaad ab ho rahi hai dil se ruKHsat
miyan pyaron ki pyari ja rahi hai
daregha teri nazdiki miyan-jaan
teri duri pe wari ja rahi hai
bahut bad-haal hain basti tere log
to phir tu kyun sanwari ja rahi hai
teri marham-nigahi ai masiha
KHarash-e-dil pe wari rahi hai
KHarabe mein ajab tha shor barpa
dilon se intizari ja rahi hai
(5562) Peoples Rate This