Bazm Se Jab Nigar UThta Hai
bazm se jab nigar uThta hai
mere dil se ghubar uThta hai
main jo baiTha hun to wo KHush-qamat
dekh lo bar bar uThta hai
teri surat ko dekh kar meri jaan
KHud-baKHud dil mein pyar uThta hai
us ki gul-gasht se rawish-ba-rawish
rang hi rang yar uThta hai
tere jate hi is KHarabe se
shor-e-girya hazar uThta hai
kaun hai jis ko jaan aziz nahin
le tera jaan-nisar uThta hai
saf-ba-saf aa khaDe hue hain ghazal
dasht se KHaksar uThta hai
hai ye tesha ki ek shoala sa
bar-sar-e-kohsar uThta hai
karb-e-tanhai hai wo shai ki KHuda
aadmi ko pukar uThta hai
tu ne phir kasb-e-zar ka zikr kiya
kahin hum se ye bar uThta hai
lo wo majbur shahr-e-sahra se
aaj diwana-war uThta hai
apne yan to zamane walon ka
rose hi eatibar uThta hai
'jaun' uThta hai yun kaho yani
'mir'-o-'ghaalib' ka yar uThta hai
(2716) Peoples Rate This