Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1ce87d50b6b6547990ff490af82bca18, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ajab Ek Taur Hai Jo Hum Sitam Ijad Rakhen - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Ajab Ek Taur Hai Jo Hum Sitam Ijad Rakhen

ajab ek taur hai jo hum sitam ijad rakhen

ki na us shaKHs ko bhulen na use yaad rakhen

ahd is kucha-e-dil se hai so us kuche mein

hai koi apni jagah hum jise barbaad rakhen

kya kahen kitne hi nukte hain jo barte na gae

KHush-badan ishq karen aur hamein ustad rakhen

be-sutun ek nawahi mein hai shahr-e-dil ki

tesha inam karen aur koi farhad rakhen

aashiyana koi apna nahin par shauq ye hai

ek qafas laen kahin se koi sayyaad rakhen

hum ko anfas ki apne hai imarat karni

is imarat ki labon par tere buniyaad rakhen

(2426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Ek Taur Hai Jo Hum Sitam Ijad Rakhen In English By Famous Poet Jaun Eliya. Ajab Ek Taur Hai Jo Hum Sitam Ijad Rakhen is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Ajab Ek Taur Hai Jo Hum Sitam Ijad Rakhen for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Ajab Ek Taur Hai Jo Hum Sitam Ijad Rakhen in PDF.