Aish-e-ummid Hi Se KHatra Hai
aish-e-ummid hi se KHatra hai
dil ko ab dil-dahi se KHatra hai
hai kuchh aisa ki us ki jalwat mein
hamein apni kami se KHatra hai
jis ke aaghosh ka hun diwana
us ke aaghosh hi se KHatra hai
yaad ki dhup to hai rose ki baat
han mujhe chandni se KHatra hai
hai ajab kuchh moamla darpesh
aql ko aagahi se KHatra hai
shahr-e-ghaddar jaan le ki tujhe
ek amrohwi se KHatra hai
hai ajab taur haalat-e-girya
ki mizha ko nami se KHatra hai
haal KHush lucknow ka dilli ka
bas unhen 'mushafi' se KHatra hai
aasmanon mein hai KHuda tanha
aur har aadmi se KHatra hai
main kahun kis tarah ye baat us se
tujh ko jaanam mujhi se KHatra hai
aaj bhi ai kanar-e-ban mujhe
teri ek sanwli se KHatra hai
un labon ka lahu na pi jaun
apni tishna-labi se KHatra hai
'jaun' hi to hai 'jaun' ke darpai
'mir' ko 'mir' hi se KHatra hai
ab nahin koi baat KHatre ki
ab sabhi ko sabhi se KHatra hai
(2263) Peoples Rate This