Ai Subh Main Ab Kahan Raha Hun
ai subh main ab kahan raha hun
KHwabon hi mein sarf ho chuka hun
sab mere baghair mutmain hain
main sab ke baghair ji raha hun
kya hai jo badal gai hai duniya
main bhi to bahut badal gaya hun
go apne hazar nam rakh lun
par apne siwa main aur kya hun
main jurm ka e'tiraf kar ke
kuchh aur hai jo chhupa gaya hun
main aur faqat usi ki KHwahish
aKHlaq mein jhuT bolta hun
ek shaKHs jo mujh se waqt le kar
aaj aa na saka to KHush hua hun
har shaKHs se be-niyaz ho ja
phir sab se ye kah ki main KHuda hun
charke to tujhe diye hain main ne
par KHun bhi main hi thukta hun
roya hun to apne doston mein
par tujh se to hans ke hi mila hun
ai shaKHs main teri justuju se
be-zar nahin hun thak gaya hun
main sham o sahar ka naghma-gar tha
ab thak ke karahne laga hun
kal par hi rakho wafa ki baaten
main aaj bahut bujha hua hun
(3742) Peoples Rate This