Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se
abhi farman aaya hai wahan se
ki haT jaun main apne darmiyan se
yahan jo hai tanaffus hi mein gum hai
parinde uD rahe hain shaKH-e-jaan se
daricha baz hai yaadon ka aur main
hawa sunta hun peDon ki zaban se
zamana tha wo dil ki zindagi ka
teri furqat ke din laun kahan se
tha ab tak marka bahar ka darpesh
abhi to ghar bhi jaana hai yahan se
fulan se thi ghazal behtar fulan ki
fulan ke zaKHm achchhe the fulan se
KHabar kya dun main shahr-e-raftagan ki
koi lauTe bhi shahr-e-raftagan se
yahi anjam kya tujh ko hawas tha
koi puchhe to mir-e-dastan se
(2811) Peoples Rate This