Ab Wo Ghar Ek Virana Tha Bas Virana Zinda Tha
ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha
sab aankhen dam toD chuki thin aur main tanha zinda tha
sari gali sunsan paDi thi baad-e-fana ke pahre mein
hijr ke dalan aur aangan mein bas ek saya zinda tha
wo jo kabutar us mukhe mein rahte the kis des uDe
ek ka nam nawazinda tha aur ek ka bazinda tha
wo dopahr apni ruKHsat ki aisa-waisa dhoka thi
apne andar apni lash uThae main jhuTa zinda tha
thin wo ghar raaten bhi kahani wade aur phir din ginna
aana tha jaane wale ko jaane wala zinda tha
dastak dene wale bhi the dastak sunne wale bhi
tha aabaad mohalla sara har darwaza zinda tha
pile patton ko sah-pahr ki wahshat pursa deti thi
aangan mein ek aundhe ghaDe par bas ek kawwa zinda tha
(2435) Peoples Rate This