Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8c43d9e5e6c42a46a02e48e261087be7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Kisi Se Mera Hisab Nahin - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Ab Kisi Se Mera Hisab Nahin

ab kisi se mera hisab nahin

meri aankhon mein koi KHwab nahin

KHun ke ghunT pi raha hun main

ye mera KHun hai sharab nahin

main sharabi hun meri aas na chhin

tu meri aas hai sarab nahin

noch phenke labon se main ne sawal

taqat-e-shoKHi-e-jawab nahin

ab to punjab bhi nahin punjab

aur KHud jaisa ab do-ab nahin

gham abad ka nahin hai aan ka hai

aur is ka koi hisab nahin

budash ek ru hai ek ru yani

is ki fitrat mein inqalab nahin

(2122) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ab Kisi Se Mera Hisab Nahin In English By Famous Poet Jaun Eliya. Ab Kisi Se Mera Hisab Nahin is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Ab Kisi Se Mera Hisab Nahin for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Ab Kisi Se Mera Hisab Nahin in PDF.