Aap Apna Ghubar The Hum To
aap apna ghubar the hum to
yaad the yaadgar the hum to
pardagi hum se kyun rakha parda
tere hi parda-dar the hum to
waqt ki dhup mein tumhaare liye
shajar-e-saya-dar the hum to
uDe jate hain dhul ke manind
aandhiyon par sawar the hum to
hum ne kyun KHud pe eatibar kiya
saKHt be-e'tibar the hum to
sharm hai apni bar bari ki
be-sabab bar bar the hum to
kyun hamein kar diya gaya majbur
KHud hi be-iKHtiyar the hum to
tum ne kaise bhula diya hum ko
tum se hi mustaar the hum to
KHush na aaya hamein jiye jaana
lamhe lamhe pe bar the hum to
sah bhi lete hamare tanon ko
jaan-e-man jaan-nisar the hum to
KHud ko dauran-e-haal mein apne
be-tarah nagawar the hum to
tum ne hum ko bhi kar diya barbaad
nadir-e-rozgar the hum to
hum ko yaron ne yaad bhi na rakha
'jaun' yaron ke yar the hum to
(2302) Peoples Rate This