Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_809702b22795165fc690ebce96335390, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
AaKHiri Bar Aah Kar Li Hai - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

AaKHiri Bar Aah Kar Li Hai

aaKHiri bar aah kar li hai

main ne KHud se nibah kar li hai

apne sar ek bala to leni thi

main ne wo zulf apne sar li hai

din bhala kis tarah guzaroge

wasl ki shab bhi ab guzar li hai

jaan-nisaron pe war kya karna

main ne bas hath mein sipar li hai

jo bhi mango udhaar dunga main

us gali mein dukan kar li hai

mera kashkol kab se KHali tha

main ne is mein sharab bhar li hai

aur to kuchh nahin kiya main ne

apni haalat tabah kar li hai

shaiKH aaya tha mohtasib ko liye

main ne bhi un ki wo KHabar li hai

(3127) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHiri Bar Aah Kar Li Hai In English By Famous Poet Jaun Eliya. AaKHiri Bar Aah Kar Li Hai is written by Jaun Eliya. Read famous Poem AaKHiri Bar Aah Kar Li Hai for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download AaKHiri Bar Aah Kar Li Hai in PDF.