SameT Kar Tere Jalwon Ki Raushni Maine
sameT kar tere jalwon ki raushni main ne
dil-o-nigah ki duniya sanwar li main ne
mizaj-e-husn kisi taur se badal na saka
gawara samjha gham-e-na-gawar bhi main ne
tamam saKHtiyan rah-e-talab ki sahl huin
tumhaare nam ki tasbih jab paDhi main ne
tumhaara ishq hua hai kai ghamon ka sabab
ki ek jahan ki KHaridi hai dushmani main ne
nuqush-e-pa pe jabin ain be-KHudi mein rahi
bhulae kab bhala aadab-e-ashiqi main ne
ye kaun de gaya mujh ko sukun-e-qalb-o-nazar
ye kis ka nam liya tha abhi abhi main ne
meri hayat-e-do-roza ka kya buri ki bhali
guzarni paDi 'jauhar' guzar di main ne
(834) Peoples Rate This