RuKH Hi Badal Diya Hai Gham-e-rozgar Ka
ruKH hi badal diya hai gham-e-rozgar ka
ye hausla hai kis ke dil-e-be-qarar ka
ai baghban na phul ko chuTki se yun masal
yaad aaega bahut hi zamana bahaar ka
ai mere ishq tu hi bata kya jawab dun
wo haal puchhte hain dil-e-be-qarar ka
hum ne tumhaare ishq mein wo dagh khae hain
sine ka dagh dagh hai daman bahaar ka
tera jamal-e-husn ki mera junun-e-ishq
afsane ko na baKHsh de unwan dar ka
dar par nigah hath gareban pe dam-ba-KHud
main ek mujassama hun tere intizar ka
misl-e-kalim husn se chashmak nahin pasand
hum jaante hain jit mein pahlu hai haar ka
kab us ke naqsh-e-pa pe na meri jabin jhuki
'jauhar' raha hai mujh pe karam kirdgar ka
(1023) Peoples Rate This