Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cd78535e004ed36dabf01e4e444e62c3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raste Zist Ke Dushwar Nazar Aate Hain - Jauhar Zahiri Poetry In English - Darsaal

Raste Zist Ke Dushwar Nazar Aate Hain

raste zist ke dushwar nazar aate hain

log ulfat se bhi bezar nazar aate hain

jis ko dekho wo KHaridar hua hai un ka

har taraf misr ke bazar nazar aate hain

bal hai abru pe nazar tez KHuda KHair kare

aaj kuchh hashr ke aasar nazar aate hain

manzil-e-ishq ki rahen hain bahut hi dushwar

har qadam par nae aazar nazar aate hain

kya kahun ek tere jalwe ke muqabil ai dost

chashm-o-dil donon hi bekar nazar aate hain

yaad aa jate hain wo jab bhi hamein ai 'jauhar'

har taraf matla-e-anwar nazar aate hain

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raste Zist Ke Dushwar Nazar Aate Hain In English By Famous Poet Jauhar Zahiri. Raste Zist Ke Dushwar Nazar Aate Hain is written by Jauhar Zahiri. Read famous Poem Raste Zist Ke Dushwar Nazar Aate Hain for youth and Student by Jauhar Zahiri. Free Download Raste Zist Ke Dushwar Nazar Aate Hain in PDF.