Rahraw Se Sarokar Na Manzil Ki KHabar Hai
rahraw se sarokar na manzil ki KHabar hai
diwana-e-ulfat hai ki sargarm-e-safar hai
wan chah nahin milti hai yan chain nahin hai
taskin-e-dil-e-zar idhar hai na udhar hai
zarre hain ki garmae hue nur ke tare
ek barq-e-tapan hai ki teri rahguzar hai
ek ek ada hosh-talab dushman-e-iman
wo yusuf-e-sani ba-KHuda rashk-e-qamar hai
aa mere jahan mein meri duniya ki tamanna
ab meri muradon ka jahan zer-o-zabar hai
gum-gashta-e-manzil hun mohabbat mein kuchh aisa
bikhra hua shiraaza-e-taskin-e-nazar hai
'jauhar' ye gham-e-rah ye dushwari-e-manzil
kahta hai mera dil ki qayamat ka safar hai
(786) Peoples Rate This