Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_17a727c6270bb1d33cc94874f0a9a056, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Aisi Kaifiyat Se Saqi-e-mastana Aata Hai - Jauhar Zahiri Poetry In English - Darsaal

Kuchh Aisi Kaifiyat Se Saqi-e-mastana Aata Hai

kuchh aisi kaifiyat se saqi-e-mastana aata hai

ki jaise rang chhalkata hua paimana aata hai

kuchh aise bhi hain jo mahfil mein tishna-kaam rahte hain

nigah-e-lutf haTti hai agar paimana aata hai

ye kis ki shakl aankhen band karte hi nazar aai

ye kis ka nam lab par KHud paye afsana aata hai

use hum bhul jaen hum ne chaha hai bahut lekin

KHayal aata hai akasr aur bebakana aata hai

mujhe is be-KHudi par bhi dil-e-marhum ai 'jauhar'

bahut yaad aata hai jab daur mein paimana aata hai

(864) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Aisi Kaifiyat Se Saqi-e-mastana Aata Hai In English By Famous Poet Jauhar Zahiri. Kuchh Aisi Kaifiyat Se Saqi-e-mastana Aata Hai is written by Jauhar Zahiri. Read famous Poem Kuchh Aisi Kaifiyat Se Saqi-e-mastana Aata Hai for youth and Student by Jauhar Zahiri. Free Download Kuchh Aisi Kaifiyat Se Saqi-e-mastana Aata Hai in PDF.