Ba-fart-e-shauq Har Gul Mein Tere RuKH Ki Ziya Samjhe
ba-fart-e-shauq har gul mein tere ruKH ki ziya samjhe
agar chaTka koi ghuncha to hum teri sada samjhe
hamein dekho ki kab hum ne bina-e-ashiyan Dali
muKHalif apne jab sare gulistan ki faza samjhe
bil-aKHir aaj mera zabt-e-ulfat rang le aaya
mujhe hi jaannisar-e-ishq-o-jaanbaz-e-wafa samjhe
hamare pas aaya hai moattar jab koi jhonka
use hum be-takalluf tere daman ki hawa samjhe
hamein le aaya is manzil mein tere ishq ka jazba
ki hum har ek zarra mazhar-e-shan-e-KHuda samjhe
samajh se dur hai jaan-dadgan-e-ishq ki manzil
fana ki god mein sarmaya-e-raaz-e-baqa samjhe
na hoga koi hum sa rahraw-e-rah-e-wafa 'jauhar'
hum is manzil ki har aafat ko saman-e-baqa samjhe
(1008) Peoples Rate This