Ab Dard-e-mohabbat Ko Ai Dil Minnat-kash-e-darman Kaun Kare
ab dard-e-mohabbat ko ai dil minnat-kash-e-darman kaun kare
KHud apne hi hathon ulfat ka barbaad gulistan kaun kare
jab yaad kisi ki aati hai ek barq si lahra jati hai
jab hum hi dard ke KHwahan hon phir dard ka darman kaun kare
is shan-e-taghaful par aaKHir ji chhuT gaya dil TuT gaya
jab dil hi hamara TuT chuka phir aap ko mehman kaun kare
jab barq-e-tapan lahra lahra angDai falak par leti ho
us waqt nasheman kaise bane tazin-e-gulistan kaun kare
ab tark-e-sitam ke kya mani har rose naya gul khilne do
do-chaar daraKHshan daghon se dil rashk-e-gulistan kaun kare
maqsud hai qadr-o-qimat bhi zebaish-e-husn-e-KHuban ki
har KHun ke aansu ko lekin ab lal-e-badaKHshan kaun kare
ab yas ka aalam tari hai ye raat bhi hum par bhaari hai
ai 'jauhar' us ke wadon par ab zist ka saman kaun kare
(980) Peoples Rate This