Aaya Nahin Wo Jaur Ka KHugar Tamam Raat
aaya nahin wo jaur ka KHugar tamam raat
taDpa kiya mera dil-e-muztar tamam raat
nind us ke husn-e-ruKH ke tasawwur mein aai thi
dekha hai barq-e-tur ka manzar tamam raat
ye raaz mujh pe shama ke anjam se khula
kaTti hai hijr-e-yar mein kyunkar tamam raat
ai ham-nafas na puchh shab-e-hijr ka azab
aankhon mein kaTni paDi akasr tamam raat
ek hum na un ki yaad mein jhapka sake palak
ek wo ki mahw-e-baada-o-saghar tamam raat
waqt-e-sahar ye jaana ki jage hain hum magar
sota raha hamara muqaddar tamam raat
sincha hai aansuon se bahut naKHl-e-arzu
lekin samar na aa saka 'jauhar' tamam raat
(884) Peoples Rate This