Tere Baghair
aa ki dil ki chandni ru-posh hai tere baghair
aa ki saz-e-zindagi KHamosh hai tere baghair
id ho tum ko mubarak han magar mere liye
zindagi kya hai wabaal-e-dosh hai tere baghair
aa ki zahar ab baada-e-sar-josh hai tere baghair
hai KHizan-aluda subh-e-gulsitan tere baghair
KHanda-e-gul hai tabiat par garan tere baghair
jalwa-e-sarw-o-saman mein ab kahan wo dilkashi
gharq hasrat hai dil-e-na-shadman tere baghair
aa ki mahrum-e-tarab hun jaan-e-jaan tere baghair
ro rahe hain ghuncha-o-barg-o-shajar tere baghair
bagh ki sari faza hai nauhagar tere baghair
ek basit ehsas-e-mahrumi meri har sans mein
kar raha hai zindagi ko muKHtasar tere baghair
aa ki ab tarik hai sara jahan tere baghair
dil ko aae kya mohabbat mein sukun tere baghair
ho gae aql-o-KHirad nazr-e-junun tere baghair
dil hai aur aaThon-pahar ek wahshat-e-be-iKHtiyar
aankh hai aur barish-e-sailab-e-KHun tere baghair
aa ki ruswa hai mera haal-e-zabun tere baghair
(1002) Peoples Rate This