Phir Naghma-rez Abr-e-bahaaran Hai Aaj-kal
phir naghma-rez abr-e-bahaaran hai aaj-kal
phir chaak-e-dil ba-qadr-e-gareban hai aaj-kal
rangini-e-bahaar ka allah re fusun
saz-e-dil-e-shikasta ghazal-KHwan hai aaj-kal
phir main hun aur mahfil-e-jaanan ki aarzu
phir mehrban siyasat-e-darban hai aaj-kal
wo sajda jo bahae do-alam se hai garan
meri jabin-e-shauq mein ghaltan hai aaj-kal
ye abr ye hawa ye barasti hui sharab
kafir hai saKHt wo jo musalman hai aaj-kal
saqi ne wa kiya dar-e-mai-KHana-e-hayat
fitrat ki chashm-e-mehr pasheman hai aaj-kal
main aur daur-e-saghar-o-mina hai in dinon
aankhen hain aur tasawwur-e-jaanan hai aaj-kal
pahle bhi itr-bez nasim-e-bahaar thi
kis ki shamim-e-zulf pareshan hai aaj-kal
bhati nahin hai dil ko kisi saz ki sada
naghmon ka har-nafas mein wo tufan hai aaj-kal
zholidgi na puchh fazaon mein ham-nashin
KHushbu-e-zulf-e-dost pareshan hai aaj-kal
har jalwa-e-hayat ba-qadr-e-nishat-o-rang
minnat-kash-e-tabassum-e-jaanan hai aaj-kal
ai ruh-e-dard-o-shad ye tera hi faiz hai
'jauhar' jo is ada se ghazal-KHwan hai aaj-kal
(885) Peoples Rate This