Muskurane Ka Yahi Anjam Hai
muskurane ka yahi anjam hai
sab ke honTon par tera hi nam hai
thi kashish ki aap mein hi kuchh kami
ghair pe kyun be-wajah ilzam hai
KHat ka mazmun hai mere hi waste
go lifafe par kisi ka nam hai
KHwab mein bhi ye safar jari rahe
zindagi aawargi ka nam hai
log kyun khul ke kabhi milte nahin
is shahar mein har koi bad-nam hai
rutbe-dari ki lagi ek hoD hai
qabiliyyat bas barae nam hai
mai-kade se dur hi rahta hun main
tishnagi hi bas mera inam hai
jam ho mahfil, na ho saqi koi
hum ko apni be-KHudi se kaam hai
(867) Peoples Rate This