Jaanib-e-manzil Safar Mein Raushni Si Hai Abhi

jaanib-e-manzil safar mein raushni si hai abhi

is andheri raat mein bhi chandni si hai abhi

jo hamare dil mein hai wo bujh lenge KHud kabhi

baat kya samjhaiye jo an-kahi si hai abhi

hai wahi dhaDkan purani par meri sanson mein kyun

ek nai KHushbu hai mano tazgi si hai abhi

kya wahi aaegi le kar chilchilati dopahar

ek suhani dhup jo lagti bhali si hai abhi

ho sake dohraiye na baat jo sachchi lage

dushmani ban jaegi jo dosti si hai abhi

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaanib-e-manzil Safar Mein Raushni Si Hai Abhi In English By Famous Poet Jatinder Vir Yakhmi 'jayaveer'. Jaanib-e-manzil Safar Mein Raushni Si Hai Abhi is written by Jatinder Vir Yakhmi 'jayaveer'. Read famous Poem Jaanib-e-manzil Safar Mein Raushni Si Hai Abhi for youth and Student by Jatinder Vir Yakhmi 'jayaveer'. Free Download Jaanib-e-manzil Safar Mein Raushni Si Hai Abhi in PDF.