Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2d16a0d8921ac77a85f392e6814663f7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sukh Dukh Mein Garm-o-sard Mein Sailab Mein Bhi Hain - Jatinder Parwaaz Poetry In English - Darsaal

Sukh Dukh Mein Garm-o-sard Mein Sailab Mein Bhi Hain

sukh dukh mein garm-o-sard mein sailab mein bhi hain

yaaden tumhaari mausam-e-shadab mein bhi hain

hone lagi shikast jo har moD par mujhe

dushman pata chala mere ahbab mein bhi hain

daman ko pak rakhne ke haq mein tha main magar

wo kah rahi thi dagh to mahtab mein bhi hain

dilli suKHan-waron ka hai markaz magar miyan

urdu ke kuchh charagh to punjab mein bhi hain

rangin martaban mein ye KHush nahin to kya

kuchh machhliyan udas to talab mein bhi hain

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukh Dukh Mein Garm-o-sard Mein Sailab Mein Bhi Hain In English By Famous Poet Jatinder Parwaaz. Sukh Dukh Mein Garm-o-sard Mein Sailab Mein Bhi Hain is written by Jatinder Parwaaz. Read famous Poem Sukh Dukh Mein Garm-o-sard Mein Sailab Mein Bhi Hain for youth and Student by Jatinder Parwaaz. Free Download Sukh Dukh Mein Garm-o-sard Mein Sailab Mein Bhi Hain in PDF.