Wapas Jo Nahin Aaega Mein Wo Safari Hun
wapas jo nahin aaega mein wo safari hun
ai dost gale lag ki charagh-e-sahari hun
ai husn ye andaz-o-ada tujh mein kahan the
main tere liye aaina-e-ishwa-gari hun
baDhti hui tahrik-e-siyasat mujhe samjho
elan-e-baghawat pae bedad-gari hun
duniya ke liye jo hai ujalon ka payambar
zulmat-kada-e-shab mein wo najm-e-sahari hun
rangini-o-KHush-pairahni hai mere dam se
gulshan mein kali tum mein nasim-e-sahari hun
hairat se na kyun dekhe mujhe sara zamana
parwarda-e-aghosh-e-kamal-e-bashari hun
tum bhi ho adaon ki kashakash mein giraftar
kya fikr jo main qaidi-e-ashufta-sari hun
(670) Peoples Rate This