Duniya-e-dani Hai Matlab Ki Sab Rishte Nate ToD Diye
duniya-e-dani hai matlab ki sab rishte nate toD diye
ab KHud pe bharosa karna hai jitne the sahaare chhoD diye
ab dil se dil ka milna kya bas hath milana kafi hai
derina taur tariqon ne chalte chalte dam toD diye
duniya-e-mohabbat ke andar nafrat ka andhera jin se baDhe
us daur-e-taraqqi ke aise jitne hain uTha kar toD diye
jo aandhiyon se Takra bhi saken zulmat ka fusun bhi toD saken
taqon mein saja kar pahle hi to kuchh aise rakh chhoD diye
kya milna-julna aapas mein ye sab kahne ki baaten hain
hum dekh chuke is daur ne to dil toD diye sar joD diye
jab zulm ke tufan umDe hain jab yas ke baadal chhae hain
duniya ko diya hai azm-e-jawan tariKH ko hum ne moD diye
ai daur-e-siyasat ahd-e-zabun 'jarrar' se ye ummid na rakh
us dar pe jhuka di peshani hath us ke aage joD diye
(1033) Peoples Rate This