Mohabbaton Ke Pale Kaise Nafraton Mein Dhale

mohabbaton ke pale kaise nafraton mein Dhale

ye soch soch ke hum shahr tera chhoD chale

isi KHayal se karta nahin par-afshani

mere paron ki ragaD se kahin falak na jale

ye kah rahi thi hasina tamash-binon se

jo aap log hain achchhe to hum bure hi bhale

hayat o maut kahani hai saebanon ki

kabhi falak ke tale hum kabhi zamin ke tale

tere firaq ke sadme qubul hain lekin

jafa ke baad chale to wafa ka daur chale

ye jaanashin-e-qamar meri dastaras mein nahin

diye ki mauj hai bujh kar jale jale na jale

ajab tariq se utra visal ka lamha

paDe hain jaan ke lale laga ke us ko gale

(659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbaton Ke Pale Kaise Nafraton Mein Dhale In English By Famous Poet Jan Kashmiri. Mohabbaton Ke Pale Kaise Nafraton Mein Dhale is written by Jan Kashmiri. Read famous Poem Mohabbaton Ke Pale Kaise Nafraton Mein Dhale for youth and Student by Jan Kashmiri. Free Download Mohabbaton Ke Pale Kaise Nafraton Mein Dhale in PDF.