Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f76881993b7a91c8c9514fccf2ddb4c9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Taswir Ka Har Rang Nazar Mein Hai - Jamuna Parsad Rahi Poetry In English - Darsaal

Taswir Ka Har Rang Nazar Mein Hai

taswir ka har rang nazar mein hai

kya baat tere dast-e-hunar mein hai

sona sa pighalta hai rag o pai mein

KHurshid-e-hawas kasa-e-sar mein hai

nikla hun to kya raKHt-e-safar bandhun

jo kuchh hai wo sab rahguzar mein hai

ek raat hai phaili hui sadiyon par

har lamha andheron ke asar mein hai

pani hai sarabon se wirasat mein

wo KHak jo daman-e-nazar mein hai

peshani-e-aina pe ho zahir

jo zaKHm dil-e-aina-gar mein hai

kya mahken tamannaon ke gul buTe

virani-e-sahra mere ghar mein hai

(692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taswir Ka Har Rang Nazar Mein Hai In English By Famous Poet Jamuna Parsad Rahi. Taswir Ka Har Rang Nazar Mein Hai is written by Jamuna Parsad Rahi. Read famous Poem Taswir Ka Har Rang Nazar Mein Hai for youth and Student by Jamuna Parsad Rahi. Free Download Taswir Ka Har Rang Nazar Mein Hai in PDF.