Parinde LauT Ke Jab Ghar Ko Jaane Lagte Hain
parinde lauT ke jab ghar ko jaane lagte hain
hamein bhi yaad dar-o-baam aane lagte hain
fasil-e-sarhad-e-mazi dhaDakne lagti hai
jo KHwab nind ka dar khaTkhaTane lagte hain
hubab dhup ki barish mein phuTte bante
sabaat-e-zat ka matlab batane lagte hain
sar-e-mahaz tere aate hi harif mere
ye mere hath mujhe aazmane lagte hain
tere KHayal ki mahfil jo sajne lagti hai
qarib-e-haal guzishta zamane lagte hain
jo aasman ko zid hai to kam nahin hum bhi
ki baad-e-barq nae ghar banane lagte hain
jo sunte hain ki tere shahr mein dashra hai
hum apne ghar mein diwali sajaane lagte hain
suni-sunai si har ek kahani lagti hai
nae hain lafz maani purane lagte hain
(883) Peoples Rate This