Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_55dd33eec25bcc7cce079c1bdfdbf20e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHun-girafta Ho To KHanjar Ka Badan Dukhta Hai - Jamuna Parsad Rahi Poetry In English - Darsaal

KHun-girafta Ho To KHanjar Ka Badan Dukhta Hai

KHun-girafta ho to KHanjar ka badan dukhta hai

panja-e-KHair mein hi shar ka badan dukhta hai

paikar-e-nim-shikasta hun karo tesha-zani

barish-e-gul se ye patthar ka badan dukhta hai

kaun hai tujh sa jo banTe meri din bhar ki thakan

muzmahil raat hai bistar ka badan dukhta hai

mustaqil shorish-e-tufan se ragen TuTti hain

zabt-e-paiham se samundar ka badan dukhta hai

zaKHm-KHurda dar o diwar ki haalat hai ajab

sirf aahaT se mere ghar ka badan dukhta hai

qimat-e-jaan ki tawaqqo kaf-e-qatil se kahan

KHun-baha ye hai ki KHanjar ka badan dukhta hai

dard maujon ki rifaqat ka baDa hai shayad

qurb-e-sahil se shanawar ka badan dukhta hai

(826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHun-girafta Ho To KHanjar Ka Badan Dukhta Hai In English By Famous Poet Jamuna Parsad Rahi. KHun-girafta Ho To KHanjar Ka Badan Dukhta Hai is written by Jamuna Parsad Rahi. Read famous Poem KHun-girafta Ho To KHanjar Ka Badan Dukhta Hai for youth and Student by Jamuna Parsad Rahi. Free Download KHun-girafta Ho To KHanjar Ka Badan Dukhta Hai in PDF.