Bujhe Bujhe Se Sharare Hain Zard ShaKHon Par
bujhe bujhe se sharare hain zard shaKHon par
saja gaya hai koi apna dard shaKHon par
safir-e-shab ka koi ashk DhunDte honge
hawa ke jalte hue honT sard shaKHon par
ayan hai rang-e-taghazzul gulon ke chehron se
bayaz-e-rang nahin fard fard shaKHon par
lapeTe nur ki chadar mein dard ke sae
bhaTak raha hai koi shab-naward shaKHon par
hawa ki god mein mauj-e-sarab bhi hogi
girenge phul to Thahregi gard shaKHon par
piye hue hain shajar intiha-e-karb ka sam
ki hai numud-e-gul-e-la-jaward shaKHon par
urus-e-bu-e-bahaaran ne kya shararat ki
ki hain safir-e-saba KHud-nabard shaKHon par
wo ek uDan mein shohrat ka aasman Thahra
simaT ke rah gae baaton ke mard shaKHon par
(789) Peoples Rate This