Yaad Ke Darichon Mein Barishon Ke Manzar Hain
yaad ke darichon mein barishon ke manzar hain
kis nagar ki baaten hain kin ruton ke manzar hain
ajnabi dayaron mein shauq-e-did le jao
kuchh nahin to har jaanib dilbaron ke manzar hain
umr ho gai lekin ab bhi hain taaqub mein
us gali se aage bhi titliyon ke manzar hain
dil ki nam zaminon par chal rahe hain hum kab se
dur zard peDon par aandhiyon ke manzar hain
main hun aur samundar hai pesh-e-said-e-simin
dar-pas-e-ruKH-e-zarrin parbaton ke manzar hain
husn-e-kam-qaba dariya aur hua barahna-pa
naqsh aaj bhi dil par jangalon ke manzar hain
kya har ek jaanib se chal ke KHud tak aaya hun
mere chaar-su 'jamshed' raston ke manzar hain
(743) Peoples Rate This