Shauq Ke Shahr-e-tamanna Ke Thikane Guzre
shauq ke shahr-e-tamanna ke Thikane guzre
raat phir zehn se kuchh KHwab purane guzre
chand jab jhil mein utra to manazir ki tarah
mujh ko chhukar tere bazu tere shane guzre
jaane kis shaKHs ke bare mein pareshan ho tum
ab hamein KHud ko bhulate bhi zamane guzre
hum to har moD bichha aae the daman apna
jaane kis rah bahaaron ke KHazane guzre
bujhne lagta hai kisi shama ke manind wajud
jab teri yaad hawaon ke bahane guzre
manzar-e-shauq wahi hai to safar kaisa tha
hum guzar aae ki 'jamshed' zamane guzre
(798) Peoples Rate This