Jab Jaan Pe Lab-e-jaanan Ki Mahak Ek Barish Manzar Ho Jae
jab jaan pe lab-e-jaanan ki mahak ek barish manzar ho jae
hum hath baDhaen aur is mein mahtab gul-e-tar ho jae
kab dil ka laDakpan jaega har waqt yahi hai zid us ki
jo mange usi pal mil jae jo soche wahin par ho jae
ek aalam-e-jaan wo hota hai taKHsis nahin jis mein koi
is waqt hamari banhon mein jo aae wo dilbar ho jae
aashob-e-mohabbat ka aansu rakhta hai talawwun fitrat mein
aankhon mein rahe to qatra hai Tapke to samundar ho jae
jitna bhi sameTen aankhon mein rahta hi nahin kuchh yaad hamein
yarab wo tilism-e-ariz-o-lab ek roz to azbar ho jae
'jamshed' mata-e-husn jahan sab ahl-e-nazar ka hissa hai
jo chahe qalandar ho jae jo chahe sikandar ho jae
(936) Peoples Rate This